tumhain jab kabhi milain fursatain meray
" tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo main bohat dino say udas hon mujhey koi sham udhar do
mujhey apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal mujhey apnay rang main rang do meray saray rang utar do
kisi or ko meary haal say na garz hai na koi wasta main bikhar gaya hon samait lo bigar gaya hon sanwar do
meri wehshaton ko barhadiya hai judayun k aazab nay meray dil pay haath rakho zara meri darhkanon ko qarar do
tumhain subh kaisi lagi kaho meri khawishon k dayar ki jo bhali lagi to yahin raho issay chahaton say nikhar do
wahan ghar main kon hai montazir k ho fikr dair sawair ki bari mukhtasir yeh raat hai issay chandni main guzar do
koi baat kerni hai chand say kisi shakhsar ki oot main mujhey rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do.....................