Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud to ne bujha diyaJissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya
May ho gardisho ka maara howa mujhey ab apni khabar nahiWo jo shakhs tha mera renuma usey Rastoo main ganwaa diya
Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb thaTere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya
Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na hosakaMera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyoo ka jamal hai ke omara ivj-e-kamal haiKe kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya
Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor parWo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya