Naam Mera Ahtabaar Hai Us nay kaha mujh say kitna pyaar hai main nay kaha setaroon ka koee shumaaar hai us nay kaha koon hai tumhay bohat aziz main nay kaha dil pay jis ka ikhtiyaar hai us nay kaha koon sa tohfa tumhay doon
main nay kaha wohi shaam jo ab tak udhaar hai us nay kaha khezaan main mulaqat ka jawaz main nay kaha qurb ka matlab bahaar hai us nay kaha sankroon ghum hai zindagi main main nay kaha koi ghum nahi jab ghum gusaar hai us nay kaha sath kab tak nebhao gay main nay kaha jitni yah saans ki taar hai
us nay kaha mujh ko yaqeen aayey kistarah main nay kaha naam mera ahtabaar hai