Yeh ik piyara sa jo rishta haiKuch mera hai, Kuch tera haiKahen likha nahin kahen parha nahinKahen dekha nahin, kahen suna nahinPhir bhi jana pehchana haiKuch mera hai, Kuch tera haiKuch masum sa, Kuch ulbela Kuch apna sa, Kuch beganaKuch chunchul sa, Kuch shurmilaKuch sukh sa, Kuch sunjidaKuch uljha howa, Kuch suljha suljhaKuch masti bhara, Kuch khafa khafaKuch mera hai Kuch tera haiYeh piyara sa jo rishta haiKabhi kari dhoop main saya haiKabhi andheri raat main jugnu haiKabhi bin badal barsaat haiKabhi bhutkay hawaon ka rah-bur haiKabhi rusta hai, Kabhi munzil haiKuch mera hai Kuch tera haiYeh piyara sa jo rishta haiKabhi dhagay say isay badha nahhinKabhi ehad-o-paiya'n main jukra nahinKabhi haq bhi to apna jutaya nahinPhir bhi yeh kitna piyara hai Jisay hum nay sachey moti ki turhaDil ki sipi main qaid kiyaSub ki nazro'n say dhanp liyaKabhi maan diya, kabhi aitbar kiya Sub kuch hi is par var diya
Kuch mera hai Kuch tera haiYeh piyara sa jo rishta hai