jab raat ki nagun dusti ha
nus nus main zahar uterta ha
jab chand ki kernain tazi say
is dil ko cheer key aati hain
jab aankh key under hi aanso
zangiron main bundh jatey hain
sab jazboon per chaa jatey ho
tab yaad buhat tum aatey ho
jab dard ki jhanjer bajti ha
jab ruks ghamoon ka hota ha
khwaboon ki taal peh sarey dukh
wehshat key saaz bajatey hain
gaatey hain khwahish ki lay main
masti main jhoomtey jatey hain
shani