Bikher rahi hay meri zaat ... usay keh dena
Bikher rahi hay meri zaat ... usay keh dena ...
Kahein milay wo to ye baat... usay keh dena!
Usay kehna k bina us k din nahi kat'ta
Sisak k kat'ti hay her raat ...usay keh dena!
Woh saath tha to zamana tha humsfar mera..
Mgr ab koi nahi saath... usay keh dena !
Woh jis ko sun k palat aaye meri duniya mein,
Hawaao.... aisi koi baat ...usay keh dena!
agr woh phir bhe naa loutay ,to mehrbaa'n Qasid ...
Hamaari zeest k halaat...usay keh dena!
Her aik jeet us k naam kar raha hoon main
main manta hoon apni maat...usay keh dena!
Usay pukaaro'n yaa khud puhunch jaaon us k paas..
rahay hain bas mein kab halaat...usay keh dena!
Baras baras k nigahein bhe ho gayein pathar,
Pari hay gham ki ajab raat...usay keh dena!
Wo sath tha to ..zamana tha humsafar mera
hain ab tu khaali mere haath...usay keh dena !_***********************************************