Members Login
Username 
 
Password 
    Remember Me  
Post Info TOPIC: Nayi Umron ki Khud-Mukhtarya


Member

Status: Offline
Posts: 22
Date:
Nayi Umron ki Khud-Mukhtarya
Permalink   


Nayi Umron ki Khud-Mukhtarya

Nayi Umron ki Khud-Mukhtariyon ko kon samajhaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jana zaruri hai

Thake-Haare Parinde jab basere ke liye laute
Saleeqamand Shaajhon ka Lachak jana zaruri hai

Boht Be-Baak Aankhon mai Ta'alluq Tik nahi pata
Mohabbat mai Kashish rakhane ko Sharmana zaruri hai

Saleqa hi nahi shayad use Mehsoos karne ka
Jo kehta hai Khuda hai to Nazar aana zaruri hai

Mere Honton pe apni Pyaas rakh do aur phir Socho
Ke is ke baad bhi Dunyaa mai kuch pana zaruri hai?






Out[L]aWz
0322-5076537

-- Edited by OutLaw at 16:25, 2007-01-04

Attachments
__________________
Out[L]aW 0322-5076537
Page 1 of 1  sorted by
 
Quick Reply

Please log in to post quick replies.

Tweet this page Post to Digg Post to Del.icio.us


Create your own FREE Forum
Report Abuse
Powered by ActiveBoard